Wo tere naseeb ki barishain lyrics

वो तिरे नसीब की बारिशें किसी और छत पे बरस गईं

वो तिरे नसीब की बारिशें किसी और छत पे बरस गईं

दिल-ए-बे-ख़बर मिरी बात सुन उसे भूल जा उसे भूल जा

Amjad Islam Amjad's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Wo Tere Nasib Ki Barishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gain In Hindi By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Wo Tere Nasib Ki Barishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gain is written by Amjad Islam Amjad. Complete Poem Wo Tere Nasib Ki Barishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gain in Hindi by Amjad Islam Amjad. Download free Wo Tere Nasib Ki Barishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gain Poem for Youth in PDF. Wo Tere Nasib Ki Barishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gain is a Poem on Inspiration for young students. Share Wo Tere Nasib Ki Barishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gain with your friends on Twitter, Whatsapp and Facebook.


Advertisements

Amjad Islam Amjad

Welcome to the largest collection of Amjad Islam Amjad. You can send these Amjad Islam Amjad to Pakistan Send these mobile Amjad Islam Amjad message to your friends and enjoy.

Raiza raiza toot chuka hoon andar se..

Amjad Islam Amjad

Raiza raiza toot chuka hoon andar se,
Ghar se bahar gardan taan ke chalta hon..

Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja..

Amjad Islam Amjad

Wo tere naseeb ki barishain lyrics

Kahan aa ke rukne they raste kahan morr tha ussay bhool ja,
Woh jo mil geya ussay yaad rakh jo nahin mila ussay bhool ja,

Woh tere naseeb ki barishen kisi aur chhhat pe barass gayin,
Dil-e-bekhabar meri baat sun ussay bhool ja ussay bhool ja,

Main tou gum tha tere hi dheyan main teri aas tere gumaan me,
Sabaa keh gayi mere kaan me mere sath aa ussay bhool ja,

Kisi aankh main nahin ashk-e-gham tere baad kuch bhi nahin hai kamm,
Tujhe zindagi ne bhulaa diya tu bhi muskuraa ussay bhool ja,

Kahin chaak-e-jaan ka rafuu nahin kissi aasteen pe lahuu nahin,
Ke shaheed-e-raah-e-malaal ka nahin khuun bahaa ussay bhool ja,

Kyun attaa hua hai ghubaar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein,
Woh jo dard tha tere bakht main so woh ho geya ussay bhool ja,

Woh na aankh hi teri ankh thi woh na khawb hi tera khawb tha,
Dil-e-muntazir to yeh kis liye tera jaagna ussay bhool ja,

Tou yeh hai kis liye shab-e-hijar ke ussay har sitare me dekhna,
Woh falak ke jiss pe mile they hum koi aur tha ussay bhool ja,

Tujhe chaand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khillaa tha jo,
Woh tha aik daryaa visaal ka sau utar geya ussay bhool ja..

Wo tere naseeb ki barishain lyrics

Watch Video

Wo Bewafa Acha Laga

Amjad Islam Amjad

Bheerh Main Ik Ajanabii Kaa Samna Achcha Lagaa
Sab Se Chup Kar Vo Kisii Kaa Dekha Achcha Laga

Surmai Ankhon Ke Niiche Phool Se Khilane Lage
Kahate Kahate Kuchh Kisii Kaa Sochna Achcha Lagaa

Baat To Kuchh Bhii Nahin Thii Lekin Us Kaa Ek Dam
Haath Ko Honthon Pe Rakh Kar Rokna Achcha Lagaa

Chaay Main Chinii Milaana Us Gharii Bhaya Bahut
Zer-E Lab Vo Muskurata Shukriyaa Achcha Lagaa

Dil Main Kitane Ahad Bandhe The Bhulane Ke Use
Vo Milaa To Sab Iraade Torana Achcha Lagaa

Beirada Lams Kii Vo Sansanii Pyarii Lagii
Kam Tavajjo Aankh Kaa Vo Dekhna Achcha Lagaa

Niim Shab Kii Khamushi Main Bhiigatii Sarakon Pe Kal
Terii Yaadon Ke Jaalo Main Ghumna Achcha Lagaa

Us Uduu-E-Jaan Ko ‘Amjad’ Main Buraa Kaise Kahoon
Jab Bhii Aayaa Saamane Vo Bevafaa Achcha Lagaa

Tery Naam se Pehly

Amjad Islam Amjad

Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Diloan Ke Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle

Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle

Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle

Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut-Te Honge
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle

Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle

Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad IhtiyataN Ham
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle

kisi ki ankh jo purnam nahi hai

Amjad Islam Amjad

kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai

savad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai

samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai

sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai

ye basti hai sitam parvar digan ki
yaha koi kisi se kam nahi hai

kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai

dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai

main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai

jo koi sun sake ?Amjad? to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai


We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Amjad Islam Amjad.